Kaash tujhe na payaa hota to aaj khone ki naubat na
aati Kaash teri khushiyo me na shaamil hota to
aaj gam se ye suhbat na aati Kaash tujhe dekh ke na
jiyaa hota to aaj maut ki raghbat na aati Kaash
tujhe na dekha hota to aaj marne ki naubat na aati
Ayegi wo suhani raat meri arthi ke sath jayegi
Teri har baat Jab uthe arthi meri To nazre jhuka
lena Jab main na rahu is duniya me to Kisi aur
se dil laga lena
Teri bewafa hone ka subhah tha mujhe, Par behaya bhi
hai iss-se hum anjaan the. Teri bholi surat pe kai
baar qurbaan hue hum, Shayad dil masoom tha hum
nadan the.
Khwaab aankhon mein tha par sabko dikhaya na gaya Lab pe ek naam tha Jubaan pe kabhi layaa na gaya Range the jigar se mere usne apne haath Par
heena se meri Hatheli ko sajaaya na gaya
Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai jab koi apna mil
kar nazron se door hota hai kyun roti hai kambakht yeh
ankhe kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai
Dil toh hoga par na hogi usme jaan Saanse toh hogi par
na hoga armaan Hum rahenge yahi par na hoga
aashiyaan Jabse humne likh di hai rusvayi ki daastaan